Saturday 3 December 2016

Maa Shayari


Khuda Ki Rehmat Hai Humpar Jo Unka Pyaar Mila,
Janaat Se Haseen Kai Yaadon Ka Uphaar Mila,
Kyun Karen Hum Us Khuda Se Ab Koi Shikwa Koi Gila,
Jisne Humko Maa Ka Pyar Dilaya Jisko Paakar Mei Aur Tu Khila….

Kyun Bhool Jaate Hain Hum Us Maa Ko Waqt Ke Saath-Saath,
Nahin Rehta Humko Unka Koi Khayaal,
Kya Hota Hoga Us Maa Ke Dil Ka Haal,
Jisne Hamare Liye Bhula Diya Apna Har Ek Khwaab….

Kyun Khayaal Nahin Rehta Humko Unka,
Wo To Bas Har Pal Hamari Yaad Karti Hai,
Jab Bhi Jaati Hai Kisi Mandir Ya Masjid Mein,
Sabse Pehle Hamari Salamati Ki Dua Karti Hai….

Kya Wajood Hoga Hamara Jo Hum Unko Bhool Jaayen,
Phir Kabhi Tanhai Mei Hum Khud Ko Hi Tadpaayen,
Roye Hum Behisaab Koi Aanshu Pauchene Na Aaye,
Khud Ko Yuhin Koste Rahe Aur Bas Pachtaayen….

Isliye Chaahe Kuch Bhi Ho Aage,
Us Maa Ko Tum Bhool Na Jana,
Mauka Mile Jab Bhi Koi Tumhe,
Us Maa Ko Khushi Diye Jana,
Khushi Ho Ya Gam Ke Baadal,
Sada Khush Rehna Aur Muskurana….

Ghar Jaldi Aa Jana
A very nice line said by a boy to his girlfriend

Tere Bina Main Ye Duniya Chhod To Du,
Pr Uska Dil Kaise Dukha Du Jo Roz Darwaze Pr Khadi Kehti Hai
“Beta Ghar Jaldi Aa Jana”…





Tujhe Khona Nhi Chahta Maa
Zindagi Mein Kuch Paya Aur Kuch Khoya
 Lekin Tujhe Khona Nhi Chahta Maa
 Zindagi Ne Kabhi Hasaya Aur Kabhi Rulaya
 Lakin Tujhe Rulana Nhi Chahta Maa
 Yaad Aati Hai Bahot Tere Bachpan Ki Wo Lory
 Isi Liye Teri God K Elawa Kahin Aur Sona Nhi Chahta Maa
 Kitna Daanta Tha Tune Bachpan Mein
 Ab Q Nhi Daandti Tu Mujhe Maa
 Kaise Zinda Reh Paunga Main Tere Baghair
 Kabhi Fursat Mile Mujhe Tu Ye To Bata Maa
 Zindagi Tune To Meri Roshan Kar Di
 Lekin Khud Kiss Andhere Mein Kho Gayi Tu Maa
 Kabhi To Khila Mujhe Apne Hath Ki Roti
 Aaj Kal Bhukh Bahoth Lagthi Hai Mujhe Maa
 Kahaan Ho Tum, Aa Kar Lagalo Gale Iss Bebas Prince Ko
 Na Jane Kis Kaash Main Nikal Jaye Meri Saans Maa…


Teri Yaad Maa



Kabhi Aayi Teri Yaad Maa Toh Hum Jee Bhar Ke Ro Liye
 Kabhi Jaageh Hum Saari Raat Toh Kabhi Din Mein Hi So Liye
 Aansuo Se Tumhare Na Hone Ka Gam Mita Raha Hu
 Kya Batau Kaise Jeeye Ja Raha Hu
 Tumhara Dulaar Bahut Yaad Aata Hai
 Har Baar Aankho Mein Aansu Chod Jata Hai…



Super Mom
Mom, you’re a wonderful mother,
 So gentle, yet so strong.
 The many ways you show you care
 Always make me feel I belong.
 you are patient when I’m foolish;
 You give guidence when I ask;
 It seems you can do most anything;
 You’re the master of every task.
 you’re a dependable source of comfort,
 you’re my cushion when I fall.
 You help in times of trouble,
 You support me whenever I call.
 I love you more than you know,
 you have my totl respect.
 if I had my choice of mothers,
 You’d be the one I’d select!…




Maa Ke Jeevan Ka Maksad
Ghar Ghar Chulha Chowka Karti Karti Suit Silai Maa
 Bachhon Khatir Jod Rahi Hai Dekho Payee Payee Maa

Babu Ji Ki Aamad Bhi Kam Upar Se Ye Mehngayee
 Tute Chashme Se Ba Mushkil Karti Hai Turpayee Maa

Sehte Sehte Saare Ghar Ki Badhti Jimmewari Ko
 Ghat Te, Ghat Te Aaj Bachi Hai Kewal Ek Tihayee Maa

Teeka, Kundal, Hansli, Kangan, Tagri, Nath, Bichuae, Chutki
 Beti Ki Shaadi Ki Khatir Sab Girvi Rakh Ayee Maa

Saare Rishte Jhuthe Nikle Matlab Ke The Yaar Sabhi
 Kewal Tune Hi Aajeevan Nishchal Preet Nibhayee Maa

Pizza Burger Kab Hote They Meethey Poodey
 Deti Thee Roti Par Rakh Kar Shakkar Aur Malai Maa

Darzan Bhar Logo Ka Kunba Phir Bhi Tha Sanjha Chulha
 Miljul Kar Rahti Thi Ghar Mein Dadi, Chachi, Tai, Maa

Naam Sabhi Hain Gur Se Meethey Chahe Main Kuch Bhi Boloon
 Biji Janni Mataa Mummy Maiya Amma Mayee Maa

Bachha Hi Maksad Hota Hai Maa Ke Jeevan Ka ‘Agyat’
 Himmat De Uske Khwabon Ko Deti Hai Unchayee Maa…

Maa Tere Bina
Khwabon Ki Tasveer Dekta Hun Unki Aankhon Mein
 Chaand Ki Roshni Ko Mehsoos Karta Hun Unki Panahon Mein
 Main Kya Hun Is Zindagi Mein Meri Pehchaan Hai Kya
 Tere Naam Se Judi Har Saans Keh Rahi Hai Sada
 Meri Maa Tere Bina Duniya Kitni Sooni Sooni Hai
 Jeena Tere Bin Yahan Bas Meri Majboori Hai…

Maa Se Itna Pyaar
Dekhun Jo Teri Aankhon Ko Mera Har Sapna Jaag Jaaye
 Sunoo Jo Teri Baaton Ko Kuch Jajba Bas Jaaye
 Chahun Main Aur Kya Is Zindagi Se
 Mangu Main Aur Kya Us Khuda Ki Roshni Se
 Jo Maa Tujhse Itna Pyaar Mil Jaye…

Maa Ki Mamta


Maa Se Pyara To Koi Bol Ho Nahi Sakta,
 Maa Ki Mamta Ka Koi Mol Ho Nahi Sakta,
 Khud Nahi Khati Hai Bachcho Ko Khila Deti Hai,
 Waqt Pe Thapkiya De De Sula Deti Hai,
 Sach To Ye Hai K Wo Shhaqs Hai Sabse Gareeb,
 Maa Ka Saaya Hota Nahi Jise Duniya Me Nasseeb,
 Zakhm Jab Bacche Ko Lagta Hai To Maa Roti Hai,

Chanchal Ladki Jaisi Maa
Besan Ki Sondhi Roti Per Khatti Chatni Jaisi Maa
 Yaad Aata Hai Chauka-Baasan, Chimta, Fukani Jaisi Maa

Baan Ki Khurri Khaat Ke Uper Har Aahat Per Kaan Dhare
 Aadhi Soyi Aadhi Jaagi Thaki Duphari Jaisi Maa

Chidiyon Ki Chehkar Mein Goonje Radha Mohan, Ali-Ali
 Murgey Ki Aawaz Se Khulti, Ghar Ki Kundi Jaisi Maa

Biwi, Beti, Behan, Padoshan Thodi Thodi Si Sab Mein
 Dinbhar Ik Rassi Ke Uper Chalti Natni Jaisi Maa

Baant Ke Apna Chehra, Matha, Aankhein Jaane Kahan Gayi
 Fatey-Purane Ik Album Mein Chanchal Ladki Jaisi Maa


 Aisi Nisbat Kisi Aur Rishte Me Kahan Hoti Hai…

0 comments:

Post a Comment

Powered By Blogger

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More

 
Design by Free WordPress Themes | Bloggerized by Lasantha - Premium Blogger Themes | Blogger Templates